isi tarah meri aankhon ko band hona tha
isī tarah mirī āñkhoñ ko band honā thā
tire ġhurūr kā parcham buland honā thā
nigah ke saath kahāñ tak safar kiyā jaa.e
thakan se chuur mirā band band honā thā
hisār-e-zāt hai yā koī ā.īna-ḳhāna
na is qadar bhī hameñ ḳhud-pasand honā thā
shuā-e-mahr kā dam bhī baḌā ġhanīmat hai
fasīl-e-shab ko sahar tak buland honā thā
bahut dabīz sahī chādar-e-shab-e-zulmat
diye kī lau ko magar sar-buland honā thā
bañdhe haiñ sabz ribbon meñ siyāh baal us ke
kamand ko bhī asīr-e-kamand honā thā
isi tarah meri aankhon ko band hona tha
tere ghurur ka parcham buland hona tha
nigah ke sath kahan tak safar kiya jae
thakan se chur mera band band hona tha
hisar-e-zat hai ya koi aaina-KHana
na is qadar bhi hamein KHud-pasand hona tha
shua-e-mahr ka dam bhi baDa ghanimat hai
fasil-e-shab ko sahar tak buland hona tha
bahut dabiz sahi chadar-e-shab-e-zulmat
diye ki lau ko magar sar-buland hona tha
bandhe hain sabz ribbon mein siyah baal us ke
kamand ko bhi asir-e-kamand hona tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 637)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.