isi tarkib se KHud ko tan-asani mein rakhta hun
isī tarkīb se ḳhud ko tan-āsānī meñ rakhtā huuñ
mayassar jo nahīñ us ko farāvānī meñ rakhtā huuñ
kabhī ḳhud bhī nahīñ hotā huuñ apnī bazm-e-zātī meñ
bahut hī ḳhaas logoñ ko suḳhan-dānī meñ rakhtā huuñ
nahīñ jo aane detā rabt kirdār aur kahānī meñ
tamāsha-bīn ko apne pareshānī meñ rakhtā huuñ
jhukā.e bin yahāñ raushan hue jaate haiñ dar saare
ik aisī bhī chamak maiñ apnī peshānī meñ rakhtā huuñ
kisī be-jān patthar ko pashemāñ itnā kyā karnā
so apne ā.inoñ ko hī pashemānī meñ rakhtā huuñ
kisī ke 'aks aur bar-'aks kā ik khel hai 'nāzir'
qadam ākāsh meñ haiñ aur nazar paanī meñ rakhtā huuñ
isi tarkib se KHud ko tan-asani mein rakhta hun
mayassar jo nahin us ko farawani mein rakhta hun
kabhi KHud bhi nahin hota hun apni bazm-e-zati mein
bahut hi KHas logon ko suKHan-dani mein rakhta hun
nahin jo aane deta rabt kirdar aur kahani mein
tamasha-bin ko apne pareshani mein rakhta hun
jhukae bin yahan raushan hue jate hain dar sare
ek aisi bhi chamak main apni peshani mein rakhta hun
kisi be-jaan patthar ko pasheman itna kya karna
so apne aainon ko hi pashemani mein rakhta hun
kisi ke 'aks aur bar-'aks ka ek khel hai 'nazir'
qadam aakash mein hain aur nazar pani mein rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.