isi zamin pe nachaar lauT kar aae
isī zamīn pe nāchār lauT kar aa.e
jo āsmān se ūñchī uḌaan bhar aa.e
hai mere ḳhuun meñ shāmil mirā sagā bhaa.ī
mujhe hai ḳhauf na ilzām mere sar aa.e
ye dostoñ kī navāzish hai ek bār-e-garāñ
baḌe ḳhulūs se dushman kā kaam kar aa.e
samajh ga.e vo nasheb-o-farāz ke asrār
buland koh kī choTī se jo utar aa.e
baḌī 'ajīb tavaqqo' hai merī dushman se
agar maiñ ro.uuñ to us kī bhī aañkh bhar aa.e
nidā-e-vaqt ḳhabar-dār kar ga.ī mujh ko
ga.e jo koh-e-nidā par vo be-ḳhabar aa.e
uThā ke haath ye mausam ne bad-du'ā dī hai
ki ab ke fasl jo aa.e vo be-samar aa.e
laraz uThī thī ik 'ifrīt se guzishta sadī
'ajīb shakl banā.e hue sifar aa.e
na jaane kaunsā rishta hai ye tabāhī kā
ki hādsāt palaT kar hamāre ghar aa.e
ye koī 'aib hai yā intihā mohabbat kī
ki aa.ine meñ mujhe 'aks do nazar aa.e
isi zamin pe nachaar lauT kar aae
jo aasman se unchi uDan bhar aae
hai mere KHun mein shamil mera saga bhai
mujhe hai KHauf na ilzam mere sar aae
ye doston ki nawazish hai ek bar-e-garan
baDe KHulus se dushman ka kaam kar aae
samajh gae wo nasheb-o-faraaz ke asrar
buland koh ki choTi se jo utar aae
baDi 'ajib tawaqqo' hai meri dushman se
agar main roun to us ki bhi aankh bhar aae
nida-e-waqt KHabar-dar kar gai mujh ko
gae jo koh-e-nida par wo be-KHabar aae
uTha ke hath ye mausam ne bad-du'a di hai
ki ab ke fasl jo aae wo be-samar aae
laraz uThi thi ek 'ifrit se guzishta sadi
'ajib shakl banae hue sifar aae
na jaane kaunsa rishta hai ye tabahi ka
ki hadsat palaT kar hamare ghar aae
ye koi 'aib hai ya intiha mohabbat ki
ki aaine mein mujhe 'aks do nazar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.