istiara hai wo ek tamsil hai
isti.āra hai vo ik tamsīl hai
tīrgī ke shahr meñ qindīl hai
dilkashī nazzāroñ kī jaatī rahī
vo parinda hai na ab vo jhiil hai
fāḳhta amn-o-amāñ kī kyuuñ rahe
gumbadoñ kī taak meñ jab chiil hai
rang jaisā bhī ho terī jild kā
dil to terā ab bhī misl-e-bhīl hai
phir bhī lahja hai nayā 'shahzād' kā
go ki us ke sher meñ tarsīl hai
istiara hai wo ek tamsil hai
tirgi ke shahr mein qindil hai
dilkashi nazzaron ki jati rahi
wo parinda hai na ab wo jhil hai
faKHta amn-o-aman ki kyun rahe
gumbadon ki tak mein jab chil hai
rang jaisa bhi ho teri jild ka
dil to tera ab bhi misl-e-bhil hai
phir bhi lahja hai naya 'shahzad' ka
go ki us ke sher mein tarsil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.