itna aasan hai chhoDna usko
itnā āsāñ hai chhoḌnā us ko
dūsrā 'ishq phir juTānā hai
asl meñ jhuuT bolte ho tum
is liye aa.ina dikhānā hai
aaj bhī sādgī qayāmat hai
har dikhāve ko ye dikhānā hai
muḳhbirī kar rahe haiñ jo us kī
un ko sab kuchh ġhalat batānā hai
darguzar hone the gunāh mire
ye maraz to faqat bahāna hai
asl 'izzat chhupī hai zillat meñ
haañ magar tum ne kab ye jaanā hai
zabt qaabū meñ aa gayā phir se
us ko ab Thiik se batānā hai
itna aasan hai chhoDna us ko
dusra 'ishq phir juTana hai
asl mein jhuT bolte ho tum
is liye aaina dikhana hai
aaj bhi sadgi qayamat hai
har dikhawe ko ye dikhana hai
muKHbiri kar rahe hain jo us ki
un ko sab kuchh ghalat batana hai
darguzar hone the gunah mere
ye maraz to faqat bahana hai
asl 'izzat chhupi hai zillat mein
han magar tum ne kab ye jaana hai
zabt qabu mein aa gaya phir se
us ko ab Thik se batana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.