itna achchha hun adakar chhupa deta hun
itnā achchhā huuñ adākār chhupā detā huuñ
ġham hazāroñ pas-e-dīvār chhupā detā huuñ
sab mire dost tujhe dost samajhte haiñ mirā
jo mujhe tū ne diye ḳhaar chhupā detā huuñ
merī bechainiyāñ mujh se nahīñ dekhī jātīñ
ḳhud ko le jā ke kahīñ yaar chhupā detā huuñ
aaj achchhā hai savere se mirā mood bahut
aisā kartā huuñ ki aḳhbār chhupā detā huuñ
āte-jāte hue paḌtī hai nazar logoñ kī
aa tujhe maiñ dil-e-bīmār chhupā detā huuñ
tujh ko sachchā.ī kā anjām nahīñ hai ma.alūm
maiñ tujhe mere qalamkār chhupā detā huuñ
itna achchha hun adakar chhupa deta hun
gham hazaron pas-e-diwar chhupa deta hun
sab mere dost tujhe dost samajhte hain mera
jo mujhe tu ne diye KHar chhupa deta hun
meri bechainiyan mujh se nahin dekhi jatin
KHud ko le ja ke kahin yar chhupa deta hun
aaj achchha hai sawere se mera mood bahut
aisa karta hun ki aKHbar chhupa deta hun
aate-jate hue paDti hai nazar logon ki
aa tujhe main dil-e-bimar chhupa deta hun
tujh ko sachchai ka anjam nahin hai malum
main tujhe mere qalamkar chhupa deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.