itna bachchon pe dhyan dena hai
itnā bachchoñ pe dhyān denā hai
jaise ḳhud imtihān denā hai
par hamāre bhale hī kaT jaa.eñ
hausloñ ko uḌaan denā hai
ab zarūrat nahīñ hai sho'loñ kī
ik bhaḌaktā bayān denā hai
'ishq kī fasl ho ga.ī barbād
phir bhī ham ko lagān denā hai
ḳhud ye bachche shikār kar leñge
haath meñ bas kamān denā hai
ham 'adālat se ḳhud nipaT leñge
aap ko bas bayān denā hai
'ishq meñ dil luTā chuke 'arshad'
ab batāo ki jaan denā hai
itna bachchon pe dhyan dena hai
jaise KHud imtihan dena hai
par hamare bhale hi kaT jaen
hauslon ko uDan dena hai
ab zarurat nahin hai sho'lon ki
ek bhaDakta bayan dena hai
'ishq ki fasl ho gai barbaad
phir bhi hum ko lagan dena hai
KHud ye bachche shikar kar lenge
hath mein bas kaman dena hai
hum 'adalat se KHud nipaT lenge
aap ko bas bayan dena hai
'ishq mein dil luTa chuke 'arshad'
ab batao ki jaan dena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.