itna baDa to ho mera dalan kam se kam
itnā baḌā to ho mirā dālān kam se kam
do-chār din to ruk sakeñ mehmān kam se kam
sab se kaheñge nasl haiñ ham 'mīr'-o-'faiz' kī
ghar meñ rakheñge ek do dīvān kam se kam
is vāste bhī ab ke kiyā ishq sātvāñ
ik baar to ho fat.h ye maidān kam se kam
parcham baġhāvatoñ kā hai kyoñ sab ke haath meñ
kuchh to batāo vaqt ke sultān kam se kam
in hādsoñ ne 'umr ko aadhā kiyā 'obaid'
sau saal varna jiitā thā insān kam se kam
itna baDa to ho mera dalan kam se kam
do-chaar din to ruk saken mehman kam se kam
sab se kahenge nasl hain hum 'mir'-o-'faiz' ki
ghar mein rakhenge ek do diwan kam se kam
is waste bhi ab ke kiya ishq satwan
ek bar to ho fath ye maidan kam se kam
parcham baghawaton ka hai kyon sab ke hath mein
kuchh to batao waqt ke sultan kam se kam
in hadson ne 'umr ko aadha kiya 'obaid'
sau sal warna jita tha insan kam se kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.