itna bhi ai KHuda mujhe mashhur tu na kar
itnā bhī ai ḳhudā mujhe mash.hūr tū na kar
maiñ bhuul jā.ūñ tujh ko bhī maġhrūr tū na kar
maiñ tujh se dūriyoñ kī talabgār huuñ magar
ye iltijā bhī hai ki mujhe duur tū na kar
vo raushnī hī kyā jo basārat ko chhīn le
āñkhoñ ko ai ḳhudā mirī be-nūr tū na kar
duniyā ke sāmne kabhī phailā.ūñ apne haath
parvardigār itnā bhī majbūr tū na kar
tālib rahūñ maiñ ilm kī tā-umr tā-hayāt
dil meñ ye jo talab hai use duur tū na kar
itna bhi ai KHuda mujhe mashhur tu na kar
main bhul jaun tujh ko bhi maghrur tu na kar
main tujh se duriyon ki talabgar hun magar
ye iltija bhi hai ki mujhe dur tu na kar
wo raushni hi kya jo basarat ko chhin le
aankhon ko ai KHuda meri be-nur tu na kar
duniya ke samne kabhi phailaun apne hath
parwardigar itna bhi majbur tu na kar
talib rahun main ilm ki ta-umr ta-hayat
dil mein ye jo talab hai use dur tu na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.