itna hi pyar dijiye jitne mein ji lage
itnā hī pyaar dījiye jitne meñ jī lage
had se ziyāda raushnī bhī tīrgī lage
ye kah ke dushmanoñ ko tasallī maiñ de rahā
jis din bhī mujh ko haa.e lage aap kī lage
merī nazar kā pher hai yā vāqa.ī habīb
har ek shakl aaj mujhe dūsrī lage
do chaar din kī aur hai ye jānte hue
kuchh din se mujh ko ziist mirī dā.imī lage
kuchh aur karnā lakḌiyoñ ko mushta.il raqīb
gar laash mere ishq kī kuchh adh-jalī lage
itna hi pyar dijiye jitne mein ji lage
had se ziyaada raushni bhi tirgi lage
ye kah ke dushmanon ko tasalli main de raha
jis din bhi mujh ko hae lage aap ki lage
meri nazar ka pher hai ya waqai habib
har ek shakl aaj mujhe dusri lage
do chaar din ki aur hai ye jaante hue
kuchh din se mujh ko zist meri daimi lage
kuchh aur karna lakDiyon ko mushtail raqib
gar lash mere ishq ki kuchh adh-jali lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.