itna hi to hua hai tujhe dekhne ke baad
itnā hī to huā hai tujhe dekhne ke baad
ḳhud ko bhulā diyā hai tujhe dekhne ke baad
āñkhoñ ko un kā gauhar-e-maqsūd mil gayā
hāthoñ se dil gayā hai tujhe dekhne ke baad
dekhā tujhe to kaaT liiñ hāthoñ kī uñgliyāñ
kuchh hosh kab rahā hai tujhe dekhne ke baad
sab kuchh hai tū hī to yahāñ ham kuchh bhī haiñ nahīñ
ye sach to ab khulā hai tujhe dekhne ke baad
itna hi to hua hai tujhe dekhne ke baad
KHud ko bhula diya hai tujhe dekhne ke baad
aankhon ko un ka gauhar-e-maqsud mil gaya
hathon se dil gaya hai tujhe dekhne ke baad
dekha tujhe to kaT lin hathon ki ungliyan
kuchh hosh kab raha hai tujhe dekhne ke baad
sab kuchh hai tu hi to yahan hum kuchh bhi hain nahin
ye sach to ab khula hai tujhe dekhne ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.