itna hua zamin pe huwaida kiya mujhe
itnā huā zamīñ pe huvaidā kiyā mujhe
aur us ke baad bhiiḌ meñ tanhā kiyā mujhe
maiñ mo'atabar kise kahūñ nā-mo'tabar kise
har shaḳhs ne hī shahr meñ sajda kiyā mujhe
taḳhlīq kar ke ḳhuld-e-barīñ ke liye mirī
ḳhāliq ne pahle zīnat-e-duniyā kiyā mujhe
merā qusūr hukm-udūlī magar sazā
be-daḳhl diiñ se rāñda-e-uqbā kiyā mujhe
tarsīl-e-zāt meñ vo tanaffus vo tasalsul
pahle shuhūd-e-kun kiyā phir lā kiyā mujhe
denī agar thiiñ saarī faqīrāna ḳhil.ateñ
kyoñ pyāla de ke tum ne shakebā kiyā mujhe
mujh ko samundaroñ meñ samāne se bair thā
qatre se jān-būjh ke dariyā kiyā mujhe
tere huzūr siis jhukāne kī der thī
hairāñ huuñ barkatoñ se ye kyā kyā kiyā mujhe
itna hua zamin pe huwaida kiya mujhe
aur us ke baad bhiD mein tanha kiya mujhe
main mo'atabar kise kahun na-mo'tabar kise
har shaKHs ne hi shahr mein sajda kiya mujhe
taKHliq kar ke KHuld-e-barin ke liye meri
KHaliq ne pahle zinat-e-duniya kiya mujhe
mera qusur hukm-uduli magar saza
be-daKHl din se randa-e-uqba kiya mujhe
tarsil-e-zat mein wo tanaffus wo tasalsul
pahle shuhud-e-kun kiya phir la kiya mujhe
deni agar thin sari faqirana KHilaten
kyon pyala de ke tum ne shakeba kiya mujhe
mujh ko samundaron mein samane se bair tha
qatre se jaan-bujh ke dariya kiya mujhe
tere huzur sis jhukane ki der thi
hairan hun barkaton se ye kya kya kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.