itna mizaj waqt ka badla hua na tha
itnā mizāj vaqt kā badlā huā na thā
gauhar samundaroñ meñ kabhī chīḳhtā na thā
duniyā kā bhed is liye mujh par khulā na thā
maiñ ne kitāb-e-zīst ko ab tak paḌhā na thā
bikhrā huā huuñ zarroñ kī mānind kū-ba-kū
maiñ apnī zaat se kabhī itnā kaTā na thā
kal raat terī bazm meñ ai jān-e-imbisāt
har shaḳhs ajnabī thā koī āshnā na thā
saarā hī shahr ajnabī aane lagā nazar
ye aur baat hai koī chehra nayā na thā
'parvez' ābloñ ne jo baḳhshī haiñ lazzateñ
in lazzatoñ se pahle kabhī āshnā na thā
itna mizaj waqt ka badla hua na tha
gauhar samundaron mein kabhi chiKHta na tha
duniya ka bhed is liye mujh par khula na tha
main ne kitab-e-zist ko ab tak paDha na tha
bikhra hua hun zarron ki manind ku-ba-ku
main apni zat se kabhi itna kaTa na tha
kal raat teri bazm mein ai jaan-e-imbisat
har shaKHs ajnabi tha koi aashna na tha
sara hi shahr ajnabi aane laga nazar
ye aur baat hai koi chehra naya na tha
'parwez' aablon ne jo baKHshi hain lazzaten
in lazzaton se pahle kabhi aashna na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.