itna mohtat ki jumbish nahin karne dega
itnā mohtāt ki jumbish nahīñ karne degā
umr-bhar ek guzārish nahīñ karne degā
us se ummīd ye karte ho ki sūraj kā tavāf
vo to mehvar pe bhī gardish nahīñ karne degā
dil hī chāhegā to zanjīr ke TukḌe hoñge
us se pahle koī koshish nahīñ karne degā
paar karne ke liye aaj bhī dariyā kā bahāo
aisā rakkhegā ki ḳhvāhish nahīñ karne degā
ab bhī siine meñ kahāñ baaġh utarne vaalā
paañv de jā.egā laġhzish nahīñ karne degā
itna mohtat ki jumbish nahin karne dega
umr-bhar ek guzarish nahin karne dega
us se ummid ye karte ho ki suraj ka tawaf
wo to mehwar pe bhi gardish nahin karne dega
dil hi chahega to zanjir ke TukDe honge
us se pahle koi koshish nahin karne dega
par karne ke liye aaj bhi dariya ka bahao
aisa rakkhega ki KHwahish nahin karne dega
ab bhi sine mein kahan bagh utarne wala
panw de jaega laghzish nahin karne dega
- Book : Chaa.ndii kaa varaq (Pg. 40)
- Author : Ahmad Kamal Parvaazii
- Publication : Surkhawab Publications Ujjain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.