itna na kar kisi ko shanasa ukheD se
itnā na kar kisī ko shanāsā ukheḌ se
kuchh log ab bhī shahr meñ rahte haiñ peḌ se
tujh-ġham ne bachpane meñ za'īfī navāz dī
varna javānī aatī hai pahle adheḌ se
āzād ghūmne de charā-gāh-e-zīst meñ
kar tausan-e-ḳhayāl ko zaḳhmī na eḌ se
kār-e-rafū-garī kī na zahmat uThā.iye
zaḳhmoñ kā ban gayā hai ta'alluq udheḌ se
zanjīr-e-pā ne qaid kiyā yuuñ dimāġh ko
phailāv kā ḳhayāl na aayā sukeḌ se
dil kī shikastagī ne batāyā jahān ko
bachtā nahīñ hai koī bhī shīsha tareḌ se
vo saañp āstīn meñ rahtā to Thiik thā
lipTā huā hai jo mire chandan ke peḌ se
phañstā hai jald sho’bada-bāzoñ ke jaal meñ
jo pahlī baar shahr meñ aayā ho kheḌ se
vo shaḳhs gar ḳhilāf hai mere to kyā huā
paḌtā nahīñ hai farq mujhe ek DeḌh se
apnī anā ke haath se hotā rahā ḳhajil
jab tak ki jaan chhūT na paa.ī khakheḌ se
jazbāt meñ na aao ki ġhārat na ho kahīñ
jitnā bhī tum ne kaam liyā hai khadeḌ se
itna na kar kisi ko shanasa ukheD se
kuchh log ab bhi shahr mein rahte hain peD se
tujh-gham ne bachpane mein za'ifi nawaz di
warna jawani aati hai pahle adheD se
aazad ghumne de chara-gah-e-zist mein
kar tausan-e-KHayal ko zaKHmi na eD se
kar-e-rafu-gari ki na zahmat uThaiye
zaKHmon ka ban gaya hai ta'alluq udheD se
zanjir-e-pa ne qaid kiya yun dimagh ko
phailaw ka KHayal na aaya sukeD se
dil ki shikastagi ne bataya jahan ko
bachta nahin hai koi bhi shisha tareD se
wo sanp aastin mein rahta to Thik tha
lipTa hua hai jo mere chandan ke peD se
phansta hai jald sho’bada-bazon ke jal mein
jo pahli bar shahr mein aaya ho kheD se
wo shaKHs gar KHilaf hai mere to kya hua
paDta nahin hai farq mujhe ek DeDh se
apni ana ke hath se hota raha KHajil
jab tak ki jaan chhuT na pai khakheD se
jazbaat mein na aao ki ghaarat na ho kahin
jitna bhi tum ne kaam liya hai khadeD se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.