itna na mai-kashi ka kisi par KHumar ho
itnā na mai-kashī kā kisī par ḳhumār ho
apnā hī dar lage miyāñ dozaḳh kā dvaar ho
itne taras ga.e haiñ mohabbat ko ham habīb
jis shaḳhs se milā do hameñ us se pyaar ho
us shaḳhs ke ḳhushī se marāsim bajā nahīñ
jis par ġham-e-jahān kā dār-o-madār ho
chāragarī bhī dekhiye nākām ho ga.ī
ab to ḳhabar karo hameñ dīdār-e-yār ho
itna na mai-kashi ka kisi par KHumar ho
apna hi dar lage miyan dozaKH ka dwar ho
itne taras gae hain mohabbat ko hum habib
jis shaKHs se mila do hamein us se pyar ho
us shaKHs ke KHushi se marasim baja nahin
jis par gham-e-jahan ka dar-o-madar ho
chaaragari bhi dekhiye nakaam ho gai
ab to KHabar karo hamein didar-e-yar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.