itna pur-josh mere dard ka dhaara to na tha
itnā pur-josh mere dard kā dhārā to na thā
kyā pas-e-parda kahīñ qurb tumhārā to na thā
tum ne alqāb badal kar mujhe maktūb likhā
us taġhayyur meñ kahīñ talḳh ishārā to na thā
lāzima qat-e-marāsim se ye tafrīq huī
varna ye ishq mujhe aap se pyārā to na thā
baal khole hue kyuuñ aa ga.e parde ke qarīb
maiñ nai āvāz sunā.ī thī pukārā to na thā
ham to mauzūñ the kisī ālam-e-ulfat ke liye
zar kī duniyā meñ 'jalī' kaam hamārā to na thā
itna pur-josh mere dard ka dhaara to na tha
kya pas-e-parda kahin qurb tumhaara to na tha
tum ne alqab badal kar mujhe maktub likha
us taghayyur mein kahin talKH ishaara to na tha
lazima qat-e-marasim se ye tafriq hui
warna ye ishq mujhe aap se pyara to na tha
baal khole hue kyun aa gae parde ke qarib
main nai aawaz sunai thi pukara to na tha
hum to mauzun the kisi aalam-e-ulfat ke liye
zar ki duniya mein 'jali' kaam hamara to na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.