itna sukun to gham-e-pinhan mein aa gaya
itnā sukūn to ġham-e-pinhāñ meñ aa gayā
āġhosh-e-dil se dāman-e-mizhgāñ meñ aa gayā
dil ashk ban ke dīda-e-giryāñ meñ aa gayā
ḳhurshīd jaise rauzan-e-zindāñ meñ aa gayā
mujh ko to rañg-o-bū meñ ulajhne se thā gurez
maiñ ne ye kyā kiyā ki gulistāñ meñ aa gayā
aks-e-jamāl-e-yār ba-tadrīj-e-zauq-e-dīd
āñkhoñ se dil meñ dil se rag-e-jāñ meñ aa gayā
phir mere apne aap meñ rahne kā kyā savāl
jab vo mire harīm-e-dil-o-jāñ meñ aa gayā
marham kā naam le ke na zaḳhmoñ ko chheḌiye
marham bhalā kahāñ se namak-dāñ meñ aa gayā
vahshat-asar fazā hai na dīvār-o-dar yahāñ
be-kār hī maiñ ghar se bayābāñ meñ aa gayā
'aḳhgar' junūn-e-ishq-e-navardī kidhar gayā
majnūñ to mere ḳhāna-e-vīrāñ meñ aa gayā
itna sukun to gham-e-pinhan mein aa gaya
aaghosh-e-dil se daman-e-mizhgan mein aa gaya
dil ashk ban ke dida-e-giryan mein aa gaya
KHurshid jaise rauzan-e-zindan mein aa gaya
mujh ko to rang-o-bu mein ulajhne se tha gurez
main ne ye kya kiya ki gulistan mein aa gaya
aks-e-jamal-e-yar ba-tadrij-e-zauq-e-did
aankhon se dil mein dil se rag-e-jaan mein aa gaya
phir mere apne aap mein rahne ka kya sawal
jab wo mere harim-e-dil-o-jaan mein aa gaya
marham ka nam le ke na zaKHmon ko chheDiye
marham bhala kahan se namak-dan mein aa gaya
wahshat-asar faza hai na diwar-o-dar yahan
be-kar hi main ghar se bayaban mein aa gaya
'aKHgar' junun-e-ishq-e-nawardi kidhar gaya
majnun to mere KHana-e-viran mein aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.