itna to karam mujh par allah tu farma de
itna to karam mujh par allah tu farma de
Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
MORE BYAbdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
itnā to karam mujh par allāh tū farmā de
duniyā ko mohabbat kī ḳhushbū se tū mahkā de
pāband-e-salāsil kyoñ dīvāne ko kartā hai
dīvāne ke qadmoñ ko ab vus.at-e-sahrā de
dāmān-e-talab apnā itnā na kushāda kar
denā ho jise soche de is ko to kyā kyā de
saaqī kī nigāhoñ kī mastī mujhe kaafī hai
allāh mujhe phir kyoñ fikr-e-mai-o-mīnā de
vo soz-o-gudāz-e-dil ab ham meñ kahāñ baaqī
jo ruuh ko taḌpā de jo qalb ko garmā de
ka.abe meñ tujhe DhūñDūñ yā dair-o-kalīsā meñ
pā.ūñ maiñ kahāñ tujh ko ab kuchh to ishāre de
dil rāhat-e-sāhil kā qaa.il hī nahīñ 'vasfī'
denā hai agar mujh ko to shorish-e-dariyā de
itna to karam mujh par allah tu farma de
duniya ko mohabbat ki KHushbu se tu mahka de
paband-e-salasil kyon diwane ko karta hai
diwane ke qadmon ko ab wusat-e-sahra de
daman-e-talab apna itna na kushada kar
dena ho jise soche de is ko to kya kya de
saqi ki nigahon ki masti mujhe kafi hai
allah mujhe phir kyon fikr-e-mai-o-mina de
wo soz-o-gudaz-e-dil ab hum mein kahan baqi
jo ruh ko taDpa de jo qalb ko garma de
kabe mein tujhe DhunDun ya dair-o-kalisa mein
paun main kahan tujh ko ab kuchh to ishaare de
dil rahat-e-sahil ka qail hi nahin 'wasfi'
dena hai agar mujh ko to shorish-e-dariya de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.