itne chehre hain sabhi par pyar raushan hai
itne chehre haiñ sabhī par pyaar raushan hai
kyā ḳhabar chehroñ ke pīchhe kaun dushman hai
duur tak pahuñchā ke ham apnī sadā ḳhush haiñ
varna samjheñ to ye apnā khokhlā-pan hai
log tinke adh-jale cigarette ke TukḌe
apnī duniyā raakh aur tinkoñ kā bartan hai
kar rakhe the band us par maiñ ne darvāze
ghar meñ ab kitnī ghuTan hai kitnī sīlan hai
khīñch kar alfāz ko laatā to huuñ lekin
aaj ke safhāt par phislan hī phislan hai
tum bhī apnī pusht par ik poster rakh lo
āj-kal sunte haiñ kuchh aisā hī fashion hai
itne chehre hain sabhi par pyar raushan hai
kya KHabar chehron ke pichhe kaun dushman hai
dur tak pahuncha ke hum apni sada KHush hain
warna samjhen to ye apna khokhla-pan hai
log tinke adh-jale cigarette ke TukDe
apni duniya rakh aur tinkon ka bartan hai
kar rakhe the band us par main ne darwaze
ghar mein ab kitni ghuTan hai kitni silan hai
khinch kar alfaz ko lata to hun lekin
aaj ke safhat par phislan hi phislan hai
tum bhi apni pusht par ek poster rakh lo
aaj-kal sunte hain kuchh aisa hi fashion hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.