itne jhele gae ulfat mein wo aazar ki bas
itne jhele ga.e ulfat meñ vo āzār ki bas
ruuh bhī lagne lagī hai mirī bīmār ki bas
aaj ke daur kā ai dost ye kirdār ki bas
lahja har shaḳhs kā jaise koī talvār ki bas
har taraf log barahna se nazar aate haiñ
aise hote haiñ tire shahr ke bāzār ki bas
terī marzī tū jahāñ chāhe hameñ le jaa.e
ham ne de dī hai tire haath meñ patvār ki bas
zulm sah kar bhī jo ḳhāmosh khaḌe rahte haiñ
vo sabhī hote haiñ zālim ke taraf-dār ki bas
us jagah hotī hai shaitāñ kī hukūmat yaaro
sar uThātī hai jahāñ par bhī ye takrār ki bas
aise milte haiñ sage bhaa.ī bhī ham se 'ātif'
darmiyāñ jaise khaḌī ho koī dīvār ki bas
itne jhele gae ulfat mein wo aazar ki bas
ruh bhi lagne lagi hai meri bimar ki bas
aaj ke daur ka ai dost ye kirdar ki bas
lahja har shaKHs ka jaise koi talwar ki bas
har taraf log barahna se nazar aate hain
aise hote hain tere shahr ke bazar ki bas
teri marzi tu jahan chahe hamein le jae
hum ne de di hai tere hath mein patwar ki bas
zulm sah kar bhi jo KHamosh khaDe rahte hain
wo sabhi hote hain zalim ke taraf-dar ki bas
us jagah hoti hai shaitan ki hukumat yaro
sar uThati hai jahan par bhi ye takrar ki bas
aise milte hain sage bhai bhi hum se 'atif'
darmiyan jaise khaDi ho koi diwar ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.