itni aasani se mujhko nahin pane wale
itnī āsānī se mujh ko nahīñ paane vaale
kho bhī sakte haiñ mirī khoj lagāne vaale
ham jo aa.e to khulī phūloñ kī dūkān yahāñ
pahle ye log the bas khāne-kamāne vaale
merī duniyā meñ agar rang nahīñ bhar saktā
mat banā phir mirī tasvīr banāne vaale
maiñ ki sahrā-e-junūñ huuñ mirī vus'at samjho
ho ga.e ḳhaak mirī ḳhaak uḌāne vaale
in dinoñ ham bhī haiñ nārāz zamāne se bahut
aur ham se bhī haiñ nārāz zamāne vaale
itni aasani se mujh ko nahin pane wale
kho bhi sakte hain meri khoj lagane wale
hum jo aae to khuli phulon ki dukan yahan
pahle ye log the bas khane-kamane wale
meri duniya mein agar rang nahin bhar sakta
mat bana phir meri taswir banane wale
main ki sahra-e-junun hun meri wus'at samjho
ho gae KHak meri KHak uDane wale
in dinon hum bhi hain naraaz zamane se bahut
aur hum se bhi hain naraaz zamane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.