itni achchhi itni pyari zindagi
itnī achchhī itnī pyārī zindagī
aa.ine sī hai tumhārī zindagī
raat kaaTī jaise raushan sham' ne
is tarah ham ne guzārī zindagī
jab bhī is ne chhoḌā hai apnā madār
ban ga.ī hai ik madārī zindagī
ik taraf sahrā kī bad-kirdār dhuup
ik taraf bād-e-bahārī zindagī
ham ko hai lā'l-o-guhar kī aarzū
jab ki miTTī hai hamārī zindagī
kuchh masā.ib meñ badan ke peḌ ko
kāTtī hai ban ke aarī zindagī
mere hāthoñ ek din hogī shikār
ādmiyyat kī shikārī zindagī
itni achchhi itni pyari zindagi
aaine si hai tumhaari zindagi
raat kaTi jaise raushan sham' ne
is tarah hum ne guzari zindagi
jab bhi is ne chhoDa hai apna madar
ban gai hai ek madari zindagi
ek taraf sahra ki bad-kirdar dhup
ek taraf baad-e-bahaari zindagi
hum ko hai la'l-o-guhar ki aarzu
jab ki miTTi hai hamari zindagi
kuchh masaib mein badan ke peD ko
kaTti hai ban ke aari zindagi
mere hathon ek din hogi shikar
aadmiyyat ki shikari zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.