itni gustaKHi to ai sayyaad kar leta hun main
itni gustaKHi to ai sayyaad kar leta hun main
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
itnī gustāḳhī to ai sayyād kar letā huuñ maiñ
qaid-e-ġham se ruuh ko āzād kar letā huuñ maiñ
baiThe baiThe tujh ko jis dam yaad kar letā huuñ maiñ
māya-e-sabr-o-sukūñ barbād kar letā huuñ maiñ
vā.e-nādānī ki paidā kar ke tujh se bad-zanī
aap apne dil ko ḳhud nāshād kar letā huuñ maiñ
ho ke majbūr-e-tamāshā vahm kī tasvīr se
lazzat-e-zauq-e-nazar barbād kar letā huuñ maiñ
kar ke mustaqbil kī kuchh rañgīniyoñ pe e'timād
ġham-zada dil ko bhī apne shaad kar letā huuñ maiñ
kuchh tasavvur se tire kuchh dil se ho kar ham-kalām
apnā yuuñ furqat-kada ābād kar letā huuñ maiñ
itni gustaKHi to ai sayyaad kar leta hun main
qaid-e-gham se ruh ko aazad kar leta hun main
baiThe baiThe tujh ko jis dam yaad kar leta hun main
maya-e-sabr-o-sukun barbaad kar leta hun main
wae-nadani ki paida kar ke tujh se bad-zani
aap apne dil ko KHud nashad kar leta hun main
ho ke majbur-e-tamasha wahm ki taswir se
lazzat-e-zauq-e-nazar barbaad kar leta hun main
kar ke mustaqbil ki kuchh ranginiyon pe e'timad
gham-zada dil ko bhi apne shad kar leta hun main
kuchh tasawwur se tere kuchh dil se ho kar ham-kalam
apna yun furqat-kada aabaad kar leta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.