itni jalwa-bariyan hain phir bhi pinhan kaun hai
itnī jalva-bāriyāñ haiñ phir bhī pinhāñ kaun hai
itnī parda-dāriyāñ haiñ phir numāyāñ kaun hai
kal faroġh-e-āftāb-o-māh-o-anjum kaun thā
ab charāġh-e-gosha-e-tārīk-e-zindāñ kaun hai
vo but-e-kāfir liye ḳhanjar ye kartā hai savāl
mere is daur-e-taraqqī meñ musalmāñ kaun hai
merī ik ik muskurāhaT meñ rahā gul-pāsh kaun
aaj mere āñsuoñ meñ shabnam-afshāñ kaun hai
dāna-e-sayyād ko Thukrā ke aa.e daam meñ
ham sā daanā kaun hogā ham sā nādāñ kaun hai
ḳhud qafas bhī jal uThā jis ke nafas kī aañch se
bulbulo ye nau-giraftār-e-ġhazal-ḳhvāñ kaun hai
itni jalwa-bariyan hain phir bhi pinhan kaun hai
itni parda-dariyan hain phir numayan kaun hai
kal farogh-e-aftab-o-mah-o-anjum kaun tha
ab charagh-e-gosha-e-tarik-e-zindan kaun hai
wo but-e-kafir liye KHanjar ye karta hai sawal
mere is daur-e-taraqqi mein musalman kaun hai
meri ek ek muskurahaT mein raha gul-pash kaun
aaj mere aansuon mein shabnam-afshan kaun hai
dana-e-sayyaad ko Thukra ke aae dam mein
hum sa dana kaun hoga hum sa nadan kaun hai
KHud qafas bhi jal uTha jis ke nafas ki aanch se
bulbulo ye nau-giraftar-e-ghazal-KHwan kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.