itni KHarab surat-e-haalat bhi nahin
itnī ḳharāb sūrat-e-hālāt bhī nahīñ
jo kah na pā.ūñ aisī koī baat bhī nahīñ
sūraj kā gaañv jis kī jatāoñ meñ thī asiir
ai shahr-e-be-charāġh ye vo raat bhī nahīñ
phir aaj uTh rahā hai dhuāñ dil ke ās-pās
tajdīd-e-ārzū-e-mulāqāt bhī nahīñ
Dartā huuñ apne saa.e se meñ ḳhud-gazīda huuñ
siine meñ koī shorish-e-zulmāt bhī nahīñ
'fārūq'-nāzukī ne khilā.e lahū ke phuul
dil par agarche us kī 'ināyāt bhī nahīñ
itni KHarab surat-e-haalat bhi nahin
jo kah na paun aisi koi baat bhi nahin
suraj ka ganw jis ki jataon mein thi asir
ai shahr-e-be-charagh ye wo raat bhi nahin
phir aaj uTh raha hai dhuan dil ke aas-pas
tajdid-e-arzu-e-mulaqat bhi nahin
Darta hun apne sae se mein KHud-gazida hun
sine mein koi shorish-e-zulmat bhi nahin
'faruq'-nazuki ne khilae lahu ke phul
dil par agarche us ki 'inayat bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.