itni KHata hui ki hanse the kisi ke sath
itnī ḳhatā huī ki hañse the kisī ke saath
ab ro rahe haiñ baiTh ke ham zindagī ke saath
rāhat ke saath dukh hai to aañsū hañsī ke saath
gahrā hai kitnā ġham kā ta.alluq ḳhushī ke saath
apnā chalan badalne lage vaqt kī tarah
milte the jo har ik se baḌī sādgī ke saath
saa.e saroñ pe maut ke mañDlāte haiñ magar
ham phir bhī jī rahe haiñ ulū-himmatī ke saath
kis ko tumhāre dard se dil-bastagī nahīñ
raunaq hai anjuman kī isī raushnī ke saath
shāyad vafā-shanās nazar kā qusūr hai
'ārif' sulūk un kā jo hai be-ruḳhī ke saath
itni KHata hui ki hanse the kisi ke sath
ab ro rahe hain baiTh ke hum zindagi ke sath
rahat ke sath dukh hai to aansu hansi ke sath
gahra hai kitna gham ka talluq KHushi ke sath
apna chalan badalne lage waqt ki tarah
milte the jo har ek se baDi sadgi ke sath
sae saron pe maut ke manDlate hain magar
hum phir bhi ji rahe hain ulu-himmati ke sath
kis ko tumhaare dard se dil-bastagi nahin
raunaq hai anjuman ki isi raushni ke sath
shayad wafa-shanas nazar ka qusur hai
'arif' suluk un ka jo hai be-ruKHi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.