itni na apne nam ki har-su duhai de
itnī na apne naam kī har-sū duhā.ī de
jitnā tujhe maiñ sun sakūñ utnā sunā.ī de
mujh ko kisī bhī haal meñ ḳhilqat ke saath rakh
jin ko ḳhudā.ī chāhiye un ko ḳhudā.ī de
sāñsoñ kī Dor kaaT de aflāk chaak kar
mahbūs dil ko ḳhema-e-jāñ se rihā.ī de
jo chāhtā ho dard ke us paar dekhnā
us ko rasā.ī rauzan-e-zaḳhm-e-judā.ī de
dekhegā koī tīrgī meñ dil bujhā huā
jaltā huā charāġh to sab ko dikhā.ī de
ham intihā-e-‘ishq ke raahī the yaad kar
ab ranj de rahā hai to phir intihā.ī de
maiñ tujh meñ rah ke ḳhud se bahut duur ho gayā
ai yād-e-yār ab mujhe mujh tak rasā.ī de
us kā vujūd mere tasavvur kā mo'jiza
jaisā maiñ us ko soch luuñ vaisā dikhā.ī de
itni na apne nam ki har-su duhai de
jitna tujhe main sun sakun utna sunai de
mujh ko kisi bhi haal mein KHilqat ke sath rakh
jin ko KHudai chahiye un ko KHudai de
sanson ki Dor kaT de aflak chaak kar
mahbus dil ko KHema-e-jaan se rihai de
jo chahta ho dard ke us par dekhna
us ko rasai rauzan-e-zaKHm-e-judai de
dekhega koi tirgi mein dil bujha hua
jalta hua charagh to sab ko dikhai de
hum intiha-e-‘ishq ke rahi the yaad kar
ab ranj de raha hai to phir intihai de
main tujh mein rah ke KHud se bahut dur ho gaya
ai yaad-e-yar ab mujhe mujh tak rasai de
us ka wujud mere tasawwur ka mo'jiza
jaisa main us ko soch lun waisa dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.