itni qudrat jo jagmagati hai
itnī qudrat jo jagmagātī hai
tel us kā usī kī baatī hai
kitnī nāzuk hai saañs kī Dorī
ek jhaTke meñ Tuut jaatī hai
dil kī dhaḌkan tujhe pata hai kyā
terī hastī ko āzmātī hai
shukr us kā na bhūlnā hargiz
sub.h tujh ko jo shai jagātī hai
mujh ko har dam hī zindagī merī
apnā aadhā pata batātī hai
jiit jaatī haiñ nafrateñ har dam
bas mohabbat hī maat khātī hai
maut tujh tak ye zindagī āḳhir
kitnī mushkil se ḳhud ko laatī hai
Tuut jaane ke Dar se aksar hī
niiñd aate hī lauT jaatī hai
itni qudrat jo jagmagati hai
tel us ka usi ki baati hai
kitni nazuk hai sans ki Dori
ek jhaTke mein Tut jati hai
dil ki dhaDkan tujhe pata hai kya
teri hasti ko aazmati hai
shukr us ka na bhulna hargiz
subh tujh ko jo shai jagati hai
mujh ko har dam hi zindagi meri
apna aadha pata batati hai
jit jati hain nafraten har dam
bas mohabbat hi mat khati hai
maut tujh tak ye zindagi aaKHir
kitni mushkil se KHud ko lati hai
Tut jaane ke Dar se aksar hi
nind aate hi lauT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.