itni raghbat se na mil ishq ke bimaron se
itnī raġhbat se na mil 'ishq ke bīmāroñ se
aag tujh meñ bhī bhaḌak saktī hai angāroñ se
kis ko mujh dasht se āsā.ish-e-jāñ pahuñchegī
kaun ḳhush hotā hai duniyā meñ gunahgāroñ se
dastaras meñ to bahut kuchh thā magar tere baa'd
ham ne ḳhushbū bhī ḳharīdī nahīñ bāzāroñ se
tū ne dekhā bhī nahīñ aa ke dubāra mujh ko
aise kartā hai bhalā koī vafādāroñ se
ye to ham haiñ tirī āñkhoñ pe mare baiThe haiñ
varna ab koī nahīñ kheltā talvāroñ se
hoñT se kaan kī lau tak tumheñ chūmeñge kabhī
ham tumheñ fat.h kareñge tire hathiyāroñ se
itni raghbat se na mil 'ishq ke bimaron se
aag tujh mein bhi bhaDak sakti hai angaron se
kis ko mujh dasht se aasaish-e-jaan pahunchegi
kaun KHush hota hai duniya mein gunahgaron se
dastaras mein to bahut kuchh tha magar tere ba'd
hum ne KHushbu bhi KHaridi nahin bazaron se
tu ne dekha bhi nahin aa ke dubara mujh ko
aise karta hai bhala koi wafadaron se
ye to hum hain teri aankhon pe mare baiThe hain
warna ab koi nahin khelta talwaron se
honT se kan ki lau tak tumhein chumenge kabhi
hum tumhein fath karenge tere hathiyaron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.