itni si haqiqat to in ashkon ki jaani hai
itnī sī haqīqat to in ashkoñ kī jaanī hai
jam jaa.e to ye ḳhuuñ hai bah jaa.e to paanī hai
tum kyā ise jānoge tum kyā ise samjhoge
ye dāġh-e-jigar merā ulfat kī nishānī hai
ho jaa.e mukammal to afsāna-e-dil likh duuñ
kuchh baat ghaTānī hai kuchh baat baḌhānī hai
iz.hār-e-tamannā par ghabrā ke lage kahne
is baat ko ab chhoḌo ye baat purānī hai
mere hī liye un kī shamshīr barahna hai
merā hī lahū shāyad is dahr meñ paanī hai
maḳhmūr nigāhoñ ke sadqe meñ kisī din to
do ghūñT pilā do vo palkoñ ne jo chhānī hai
'arshad' bhī aqīdat se maiḳhāne meñ aaya hai
ai pīr-e-muġhāñ terī ejāz-bayānī hai
itni si haqiqat to in ashkon ki jaani hai
jam jae to ye KHun hai bah jae to pani hai
tum kya ise jaanoge tum kya ise samjhoge
ye dagh-e-jigar mera ulfat ki nishani hai
ho jae mukammal to afsana-e-dil likh dun
kuchh baat ghaTani hai kuchh baat baDhani hai
izhaar-e-tamanna par ghabra ke lage kahne
is baat ko ab chhoDo ye baat purani hai
mere hi liye un ki shamshir barahna hai
mera hi lahu shayad is dahr mein pani hai
maKHmur nigahon ke sadqe mein kisi din to
do ghunT pila do wo palkon ne jo chhani hai
'arshad' bhi aqidat se maiKHane mein aaya hai
ai pir-e-mughan teri ejaz-bayani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.