ittifaqan jo kahin ab wo nazar aate hain
ittifāqan jo kahīñ ab vo nazar aate haiñ
kitnī yādoñ ke hasīñ naqsh ubhar aate haiñ
kaise guzrī shab-e-āshufta-sarā kis ko ḳhabar
log to baam pe hañgām-e-sahar aate haiñ
soch leñ aap mirā saath kahāñ tak deñge
marhale saikḌoñ daurān-e-safar aate haiñ
yuuñ ġhalat to nahīñ chehroñ kā ta.assur bhī magar
log vaise bhī nahīñ jaise nazar aate haiñ
un se jab tark-e-ta.alluq kā ḳhayāl aatā hai
rābte kitne tasavvur meñ ubhar aate haiñ
ittifaqan jo kahin ab wo nazar aate hain
kitni yaadon ke hasin naqsh ubhar aate hain
kaise guzri shab-e-ashufta-sara kis ko KHabar
log to baam pe hangam-e-sahar aate hain
soch len aap mera sath kahan tak denge
marhale saikDon dauran-e-safar aate hain
yun ghalat to nahin chehron ka tassur bhi magar
log waise bhi nahin jaise nazar aate hain
un se jab tark-e-talluq ka KHayal aata hai
rabte kitne tasawwur mein ubhar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.