izhaar-e-mohabbat ki tamanna to hai kab se
iz.hār-e-mohabbat kī tamanna to hai kab se
hasrat thī ki ye lafz adā ho tire lab se
shabnam hai tire ruḳh ke pasīne se 'ibārat
hai ḳhanda-e-gul 'aks tire ḳhanda-e-lab se
aisā bhī kisī se koī shāyad na judā ho
yuuñ aap se bichhḌe ki judā ho ga.e sab se
Dartā huuñ ki phir koī qayāmat na guzar jaa.e
phir sub.h ke āsār haiñ tārīkī-e-shab se
kyā kyā na diye naam zamāne ne vafā ko
kyā kyā na huā terī ḳhamoshī ke sabab se
kaash un ko bhī ho pursish-e-ahvāl kī taufīq
ham naqsh-ba-dīvār haiñ kyā jāniye kab se
jis din se gayā hai koī ghar chhoḌ ke 'afzal'
is ghar ke shab-o-roz bhī lagte haiñ 'ajab se
izhaar-e-mohabbat ki tamanna to hai kab se
hasrat thi ki ye lafz ada ho tere lab se
shabnam hai tere ruKH ke pasine se 'ibarat
hai KHanda-e-gul 'aks tere KHanda-e-lab se
aisa bhi kisi se koi shayad na juda ho
yun aap se bichhDe ki juda ho gae sab se
Darta hun ki phir koi qayamat na guzar jae
phir subh ke aasar hain tariki-e-shab se
kya kya na diye nam zamane ne wafa ko
kya kya na hua teri KHamoshi ke sabab se
kash un ko bhi ho pursish-e-ahwal ki taufiq
hum naqsh-ba-diwar hain kya jaaniye kab se
jis din se gaya hai koi ghar chhoD ke 'afzal'
is ghar ke shab-o-roz bhi lagte hain 'ajab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.