iztirab-e-dil-e-bimar se Dar lagta hai
iztirāb-e-dil-e-bīmār se Dar lagtā hai
nabz kī sur.at-e-raftār se Dar lagtā hai
husn ke ishva-e-tarrār se Dar lagtā hai
laġhzish-e-fitrat-e-ḳhuddār se Dar lagtā hai
manzil-e-hashr bahut duur sahī par ab bhī
pursish-e-baḳht-e-siyahkār se Dar lagtā hai
ik alamnāk fasāna hai junūn-e-ulfat
jis kī tafsīr ke iz.hār se Dar lagtā hai
jāda-e-hosh se haT jaa.eñ na mai-kash ke qadam
jaam kī garmī-e-raftār se Dar lagtā hai
yā to nāmūs-e-mohabbat pe thā marnā bar-haq
yā to zikr-e-rasan-o-dār se Dar lagtā hai
ruḳh badal de na mohabbat kā ye āshufta-sarī
e'tibār-e-nigah-e-yār se Dar lagtā hai
ye aqīdat hī kahīñ darpai-e-āzār na ho
sharf-e-pā-bosī-e-aġhyār se Dar lagtā hai
toḌ Dāleñ na kahīñ aap mirā shīsha-e-dil
aap kī shūmī-e-guftār se Dar lagtā hai
ġham-o-ālām se is darja sarāsīma huuñ
ki mujhe aks-e-ruḳh-e-yār se Dar lagtā hai
bhuul jā.ūñ na kahīñ apnī hī hastī kā maqām
aap kī chashm-e-fusūñ-bār se Dar lagtā hai
bad-gumānī huī is darja daḳhīl-e-fitrat
un ko ab sāya-e-dīvār se Dar lagtā hai
phir barangeḳhta ho jaa.eñ na jazbāt-e-nihāñ
sho.ala-sāmānī-e-ruḳhsār se Dar lagtā hai
bāhamī rabt meñ ban jaa.e na hadd-e-fāsil
iḳhtilāfāt kī dīvār se Dar lagtā hai
kuchh to badle hue hālāt se vahshat hai 'azīm'
kuchh to bigḌe hue āsār se Dar lagtā hai
iztirab-e-dil-e-bimar se Dar lagta hai
nabz ki surat-e-raftar se Dar lagta hai
husn ke ishwa-e-tarrar se Dar lagta hai
laghzish-e-fitrat-e-KHuddar se Dar lagta hai
manzil-e-hashr bahut dur sahi par ab bhi
pursish-e-baKHt-e-siyahkar se Dar lagta hai
ek alamnak fasana hai junun-e-ulfat
jis ki tafsir ke izhaar se Dar lagta hai
jada-e-hosh se haT jaen na mai-kash ke qadam
jam ki garmi-e-raftar se Dar lagta hai
ya to namus-e-mohabbat pe tha marna bar-haq
ya to zikr-e-rasan-o-dar se Dar lagta hai
ruKH badal de na mohabbat ka ye aashufta-sari
e'tibar-e-nigah-e-yar se Dar lagta hai
ye aqidat hi kahin darpai-e-azar na ho
sharf-e-pa-bosi-e-aghyar se Dar lagta hai
toD Dalen na kahin aap mera shisha-e-dil
aap ki shumi-e-guftar se Dar lagta hai
gham-o-alam se is darja sarasima hun
ki mujhe aks-e-ruKH-e-yar se Dar lagta hai
bhul jaun na kahin apni hi hasti ka maqam
aap ki chashm-e-fusun-bar se Dar lagta hai
bad-gumani hui is darja daKHil-e-fitrat
un ko ab saya-e-diwar se Dar lagta hai
phir barangeKHta ho jaen na jazbaat-e-nihan
shoala-samani-e-ruKHsar se Dar lagta hai
bahami rabt mein ban jae na hadd-e-fasil
iKHtilafat ki diwar se Dar lagta hai
kuchh to badle hue haalat se wahshat hai 'azim'
kuchh to bigDe hue aasar se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.