iztirab-e-qalb hai aur ishq ka aaghaz hai
iztirāb-e-qalb hai aur ishq kā āġhāz hai
ibtidā-e-naġhma mānūs-e-shikast-e-sāz hai
kis kī ḳhalvat-gāh meñ sāmān-e-soz-o-sāz hai
aaj parvānoñ kī bharrā.ī huī āvāz hai
dahr se ka.aba se baḌh kar qalb kā aġhrāz hai
vo parastish-gāh hai ye jalva-gāh-e-nāz hai
iztirāb-e-ishq bhī hai aur firāq-e-dost bhī
bazm-e-ulfat meñ do guuna lutf-e-soz-o-sāz hai
ġhair kā muhtāj kab hai us kī ulfat kā marīz
ḳhud diyā hai dard-e-dil ḳhud hī vo chāra-sāz hai
ho gayā betāb dil jalve kisī ke dekh kar
kyā adā-e-dilrubā kyā dil-nashīñ andāz hai
vo bulāte haiñ mujhe maiñ un se hiila kyā karūñ
hai safar lambā tabī.at āj-kal nā-sāz hai
be-niyāzī dekh kar us kī baḌhā zauq-e-niyāz
ab jabīn-e-ishq hai aur āstān-e-nāz hai
kis ko dekhegā dikhā.egā vo kis kis ko jamāl
ḳhud hī vo jalva hai aur ḳhud hī tajallī-sāz hai
sang-e-asvad kā hai ik but sang-e-marmar kā hai ek
barhaman ye to batā kis but pe tujh ko naaz hai
jāntā huuñ avval-e-roz-e-azal se aaj tak
us ko mujh se hai mohabbat mujh ko us par naaz hai
izzat-o-azmat pe duniyā kī karūñ maiñ kyoñ ġhurūr
jo milā dar se tire kaafī vahī aġhrāz hai
raaz ban kar ho jo pinhāñ hai vo afsāna tirā
aur jo ban jaa.e afsāna vo merā raaz hai
kar diyā gustāḳh āḳhir us kī rahmat ne mujhe
jis kī rahmat par 'umar' har vaqt mujh ko naaz hai
iztirab-e-qalb hai aur ishq ka aaghaz hai
ibtida-e-naghma manus-e-shikast-e-saz hai
kis ki KHalwat-gah mein saman-e-soz-o-saz hai
aaj parwanon ki bharrai hui aawaz hai
dahr se kaba se baDh kar qalb ka aghraaz hai
wo parastish-gah hai ye jalwa-gah-e-naz hai
iztirab-e-ishq bhi hai aur firaq-e-dost bhi
bazm-e-ulfat mein do guna lutf-e-soz-o-saz hai
ghair ka muhtaj kab hai us ki ulfat ka mariz
KHud diya hai dard-e-dil KHud hi wo chaara-saz hai
ho gaya betab dil jalwe kisi ke dekh kar
kya ada-e-dilruba kya dil-nashin andaz hai
wo bulate hain mujhe main un se hila kya karun
hai safar lamba tabiat aaj-kal na-saz hai
be-niyazi dekh kar us ki baDha zauq-e-niyaz
ab jabin-e-ishq hai aur aastan-e-naz hai
kis ko dekhega dikhaega wo kis kis ko jamal
KHud hi wo jalwa hai aur KHud hi tajalli-saz hai
sang-e-aswad ka hai ek but sang-e-marmar ka hai ek
barhaman ye to bata kis but pe tujh ko naz hai
jaanta hun awwal-e-roz-e-azal se aaj tak
us ko mujh se hai mohabbat mujh ko us par naz hai
izzat-o-azmat pe duniya ki karun main kyon ghurur
jo mila dar se tere kafi wahi aghraaz hai
raaz ban kar ho jo pinhan hai wo afsana tera
aur jo ban jae afsana wo mera raaz hai
kar diya gustaKH aaKHir us ki rahmat ne mujhe
jis ki rahmat par 'umar' har waqt mujh ko naz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.