Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

izzat waqar aan meri jaan ishq hai

Shahrukh Sahil Tulsipuri

izzat waqar aan meri jaan ishq hai

Shahrukh Sahil Tulsipuri

MORE BYShahrukh Sahil Tulsipuri

    'izzat vaqār aan mirī jaan 'ishq hai

    qurbān jis pe jaan mirī jaan 'ishq hai

    taa.ef vāqi'a ho ki karb-o-balā jang

    har ek dāstān mirī jaan 'ishq hai

    nazm-o-ġhazal rubā'ī qasīde ki hamd naa't

    in bostāñ jaan mirī jaan 'ishq hai

    pūchhā jo maiñ ne raaz falāh-o-najāt

    kahne lagī azaan mirī jaan 'ishq hai

    hargiz kisī ke zulm se Dartā nahīñ kabhī

    faulād ke samān mirī jaan 'ishq hai

    pīchhe nahīñ haTūñgā ye sar chāhe ho qalam

    kaaT de zabān mirī jaan 'ishq hai

    chhuptā nahīñ ye laakh chhupā.e koī magar

    ḳhushbū-e-bostān mirī jaan 'ishq hai

    āḳhir mire ḳhayāloñ meñ aa kar vo kah ga.e

    'sāhil' na ḳhaak chhān mirī jaan 'ishq hai

    'izzat waqar aan meri jaan 'ishq hai

    qurban jis pe jaan meri jaan 'ishq hai

    taef ka waqi'a ho ki karb-o-bala ki jang

    har ek dastan meri jaan 'ishq hai

    nazm-o-ghazal ruba'i qaside ki hamd na't

    in bostan ki jaan meri jaan 'ishq hai

    puchha jo main ne raaz falah-o-najat ka

    kahne lagi azan meri jaan 'ishq hai

    hargiz kisi ke zulm se Darta nahin kabhi

    faulad ke saman meri jaan 'ishq hai

    pichhe nahin haTunga ye sar chahe ho qalam

    ya kaT de zaban meri jaan 'ishq hai

    chhupta nahin ye lakh chhupae koi magar

    KHushbu-e-bostan meri jaan 'ishq hai

    aaKHir mere KHayalon mein aa kar wo kah gae

    'sahil' na KHak chhan meri jaan 'ishq hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now