ja-ba-ja jab aaine rang ke pighalte hain
jā-ba-jā jab ā.īne rang ke pighalte haiñ
ḳhīra-ḳhīra aks āñkheñ ḳhushbuoñ ke malte haiñ
ham ki haiñ tafakkur kī rau samay ke dariyā meñ
mauj meñ jab aate haiñ tah ke raaz ugalte haiñ
chāñdnī kī larzish meñ do ghule-mile saa.e
apne aap meñ Duube ek saath chalte haiñ
kal talak qadam jin ke paḌ rahe the phūloñ par
aaj unhīñ ke talvoñ se ḳhaar kyoñ nikalte haiñ
shahd sā sulagtā hai dard kī mahak meñ jab
sard sard aahoñ se dil ke daaġh jalte haiñ
bhīgī bhīgī palkoñ par aag raqs kartī hai
āñsūoñ ke sho.aloñ meñ jab ḳhayāl Dhalte haiñ
aks utaar lete haiñ ruuh meñ bahāroñ kā
ham kabhī kabhī yuuñ bhī dil kī rut badalte haiñ
ja-ba-ja jab aaine rang ke pighalte hain
KHira-KHira aks aankhen KHushbuon ke malte hain
hum ki hain tafakkur ki rau samay ke dariya mein
mauj mein jab aate hain tah ke raaz ugalte hain
chandni ki larzish mein do ghule-mile sae
apne aap mein Dube ek sath chalte hain
kal talak qadam jin ke paD rahe the phulon par
aaj unhin ke talwon se KHar kyon nikalte hain
shahd sa sulagta hai dard ki mahak mein jab
sard sard aahon se dil ke dagh jalte hain
bhigi bhigi palkon par aag raqs karti hai
aansuon ke shoalon mein jab KHayal Dhalte hain
aks utar lete hain ruh mein bahaaron ka
hum kabhi kabhi yun bhi dil ki rut badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.