ja chhupi hai kahan guphaon mein
jā chhupī hai kahāñ guphāoñ meñ
ai ḳhushī ab jhalak adāoñ meñ
zindagī bojh bantī jaatī hai
kuchh to tarmīm kar sazāoñ meñ
ik nazar to palaT ke dekh zarā
maiñ bhī huuñ terī āshnāoñ meñ
shahr kā shahr yuuñ divāna nahīñ
baat kuchh to hai in adāoñ meñ
diid se hī ilaaj mumkin hai
zahr hī zahr hai davāoñ meñ
ziist kī har tapish meñ jaltī rahī
yaar baiThe rahe havāoñ meñ
ai hayāt is-qadar na mushkil ho
ḳhauf ho terī dhuup chhāñv meñ
mujh ko taslīm hai jafā terī
hai 'aqīdat mirī vafāoñ meñ
mujh ko mujh se churāne vaale sun
tū hai shāmil mirī duāoñ meñ
āsmāñ maiñ bhī chhū hī saktī thī
beḌiyāñ haiñ anek paañv meñ
zikr ab to karo mohabbat kā
kitnī nafrat hai in fazāoñ meñ
raat bhar jāgte haiñ bachche bhī
ab nahīñ farq shahr gaañv meñ
bas pasīne nasīb meñ aa.e
zindagī terī dhuup chhāñv meñ
vaqt ke maare tanhā tum hī nahīñ
maiñ bhī shāmil huuñ mubtalāon meñ
zindagī aur kitnā chalnā hai
aable paḌ ga.e haiñ paañv meñ
ja chhupi hai kahan guphaon mein
ai KHushi ab jhalak adaon mein
zindagi bojh banti jati hai
kuchh to tarmim kar sazaon mein
ek nazar to palaT ke dekh zara
main bhi hun teri aashnaon mein
shahr ka shahr yun diwana nahin
baat kuchh to hai in adaon mein
did se hi ilaj mumkin hai
zahr hi zahr hai dawaon mein
zist ki har tapish mein jalti rahi
yar baiThe rahe hawaon mein
ai hayat is-qadar na mushkil ho
KHauf ho teri dhup chhanw mein
mujh ko taslim hai jafa teri
hai 'aqidat meri wafaon mein
mujh ko mujh se churane wale sun
tu hai shamil meri duaon mein
aasman main bhi chhu hi sakti thi
beDiyan hain anek panw mein
zikr ab to karo mohabbat ka
kitni nafrat hai in fazaon mein
raat bhar jagte hain bachche bhi
ab nahin farq shahr ganw mein
bas pasine nasib mein aae
zindagi teri dhup chhanw mein
waqt ke mare tanha tum hi nahin
main bhi shamil hun mubtalaon mein
zindagi aur kitna chalna hai
aable paD gae hain panw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.