ja kahe ku-e-yar mein koi
jā kahe kū-e-yār meñ koī
mar gayā intizār meñ koī
chhoḌ sau kaam aa pahuñch saaqī
jāñ-ba-lab hai ḳhumār meñ koī
vo bhī kyā raat thī ki sotā thā
sar rakhe us kanār meñ koī
mat guzar ḳhaak par shahīdoñ kī
chain le Tuk mazār meñ koī
kyuuñ 'bayāñ' sair-e-bāġh kī ruḳhsat
nahīñ detā bahār meñ koī
ja kahe ku-e-yar mein koi
mar gaya intizar mein koi
chhoD sau kaam aa pahunch saqi
jaan-ba-lab hai KHumar mein koi
wo bhi kya raat thi ki sota tha
sar rakhe us kanar mein koi
mat guzar KHak par shahidon ki
chain le Tuk mazar mein koi
kyun 'bayan' sair-e-bagh ki ruKHsat
nahin deta bahaar mein koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.