ja mohabbat se teri main hi mukar jata hun
jā mohabbat se tirī maiñ hī mukar jaatā huuñ
ḳhud tire zehn ke parde se utar jaatā huuñ
ab mirī raah meñ haa.el nahīñ hotīñ yādeñ
ab tire shahr se guzrūñ to guzar jaatā huuñ
apnī nazroñ ko zarā soch ke rakhnā mujh par
merī fitrat hai ki maiñ dil meñ utar jaatā huuñ
maiñ huuñ ujḌe hue ik zehn kā āvāra ḳhayāl
tere qadmoñ se lipaTtā huuñ sañvar jaatā huuñ
aaj ke daur meñ ḳhatra huuñ maiñ ḳhud apne liye
aisī be-ḳhauf tabī'at se bhī Dar jaatā huuñ
merī fitrat hai ijāroñ ke muḳhālif rahnā
mujh ko muTThī meñ sameTo to bikhar jaatā huuñ
ek muflis kā huuñ kirdār ki 'shāhid' aksar
maiñ kahānī kī shurū'āt meñ mar jaatā huuñ
ja mohabbat se teri main hi mukar jata hun
KHud tere zehn ke parde se utar jata hun
ab meri rah mein hael nahin hotin yaaden
ab tere shahr se guzrun to guzar jata hun
apni nazron ko zara soch ke rakhna mujh par
meri fitrat hai ki main dil mein utar jata hun
main hun ujDe hue ek zehn ka aawara KHayal
tere qadmon se lipaTta hun sanwar jata hun
aaj ke daur mein KHatra hun main KHud apne liye
aisi be-KHauf tabi'at se bhi Dar jata hun
meri fitrat hai ijaron ke muKHalif rahna
mujh ko muTThi mein sameTo to bikhar jata hun
ek muflis ka hun kirdar ki 'shahid' aksar
main kahani ki shuru'at mein mar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.