ja pahunchte hain sar-e-dar qaza se pahle
jā pahuñchte haiñ sar-e-dār qazā se pahle
kitne mansūr anal-haq kī sadā se pahle
husn-e-tanzīm ko kahte haiñ tarastī hī rahī
kahkashāñ mere nuqūsh-e-kaf-e-pā se pahle
sochtā huuñ ki kabhī maiñ ne sunī hai ki nahīñ
koī āvāz dil-e-naġhma-sarā se pahle
thā ġham-e-zīst magar kab thā shu.ūr-e-ġham-e-zīst
ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-vafā se pahle
qīmat-e-dār-o-rasan ham ne adā kī 'nashtar'
jurm koī na kiyā jurm-e-vafā se pahle
ja pahunchte hain sar-e-dar qaza se pahle
kitne mansur anal-haq ki sada se pahle
husn-e-tanzim ko kahte hain tarasti hi rahi
kahkashan mere nuqush-e-kaf-e-pa se pahle
sochta hun ki kabhi main ne suni hai ki nahin
koi aawaz dil-e-naghma-sara se pahle
tha gham-e-zist magar kab tha shuur-e-gham-e-zist
ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-wafa se pahle
qimat-e-dar-o-rasan hum ne ada ki 'nashtar'
jurm koi na kiya jurm-e-wafa se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.