jada-e-KHwab ki raushan hai rahega mujh par
jāda-e-ḳhvāb ki raushan hai rahegā mujh par
phir koī bāb-e-farāmosh khulegā mujh par
zill-e-ġham tujh se alag ho ke 'ajab haal meñ huuñ
āsmāñ Tuut ke lagtā hai giregā mujh par
apne sab rang sabhī ḳhushbueñ letī jaao
jāma-e-ḳhāk jo merā hai khilegā mujh par
maiñ to ik naam ke zindāñ se rihā ho na sakā
'ishq ab kaun sā ilzām dharegā mujh par
koī dargāh-e-havas hone lagā huuñ 'sāqib'
raqs-e-vahshat to kabhī mela lagegā mujh par
jada-e-KHwab ki raushan hai rahega mujh par
phir koi bab-e-faramosh khulega mujh par
zill-e-gham tujh se alag ho ke 'ajab haal mein hun
aasman Tut ke lagta hai girega mujh par
apne sab rang sabhi KHushbuen leti jao
jama-e-KHak jo mera hai khilega mujh par
main to ek nam ke zindan se riha ho na saka
'ishq ab kaun sa ilzam dharega mujh par
koi dargah-e-hawas hone laga hun 'saqib'
raqs-e-wahshat to kabhi mela lagega mujh par
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 47)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.