jada-e-shauq mein kaam aae sikandar kitne
jāda-e-shauq meñ kaam aa.e sikandar kitne
is samundar meñ hue ġharq shanāvar kitne
un ko dekhā to na thā naam sunā jab un kā
zehn meñ bante rahe husn ke paikar kitne
mor-e-be-māya magar apnī adā par qaa.em
ham se Takrāte rahe vaqt ke dāvar kitne
kitne zarrāt ko mahtāb kī zau baḳhshī hai
aap ke saath haiñ vābasta muqaddar kitne
baat mai-ḳhāne ke ādāb se aage na ga.ī
rū-ba-rū mere chhalakte rahe sāġhar kitne
shahr-dar-shahr isī baat kā charchā hai bahut
phuul sī baat pe maare ga.e patthar kitne
kahīñ apnoñ kī ināyat kahīñ ġhairoñ kā karam
muskurāte haiñ mujhe dekh ke ḳhanjar kitne
ye bhī ā.īna-e-ayyām meñ dekhoge bahut
khā ga.ī mauj-e-sitam jaane sitamgar kitne
har qadam luTte rahe itnā batā de koī
qāfile vāloñ kī qismat meñ haiñ rahbar kitne
haa.e vo pursish-e-hālāt kā andāz 'qamar'
merī āñkhoñ meñ simaT aa.e haiñ manzar kitne
jada-e-shauq mein kaam aae sikandar kitne
is samundar mein hue gharq shanawar kitne
un ko dekha to na tha nam suna jab un ka
zehn mein bante rahe husn ke paikar kitne
mor-e-be-maya magar apni ada par qaem
hum se Takraate rahe waqt ke dawar kitne
kitne zarraat ko mahtab ki zau baKHshi hai
aap ke sath hain wabasta muqaddar kitne
baat mai-KHane ke aadab se aage na gai
ru-ba-ru mere chhalakte rahe saghar kitne
shahr-dar-shahr isi baat ka charcha hai bahut
phul si baat pe mare gae patthar kitne
kahin apnon ki inayat kahin ghairon ka karam
muskuraate hain mujhe dekh ke KHanjar kitne
ye bhi aaina-e-ayyam mein dekhoge bahut
kha gai mauj-e-sitam jaane sitamgar kitne
har qadam luTte rahe itna bata de koi
qafile walon ki qismat mein hain rahbar kitne
hae wo pursish-e-haalat ka andaz 'qamar'
meri aankhon mein simaT aae hain manzar kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.