jada hai ishq zist safar hai chale chalen
jaada hai ishq ziist safar hai chale chaleñ
jab tak mile na jalva-e-manzil baḌhe chaleñ
vo razm-gāh-e-zīst ho yā kū-e-yār ho
ab koī rahguzār bhī ho jhūmte chaleñ
kyā log the jo rāh-e-junūñ se guzar ga.e
jī chāhtā hai naqsh-e-qadam chūmte chaleñ
ik umr ġham kī dhuup meñ chalnā hai do-ghaḌī
in gesuoñ kī chhāñv meñ bhī baiThte chaleñ
hogā kabhī na ḳhatm ye afsāna-e-hayāt
jab tak haiñ zindagī kā fasāna kahe chaleñ
phailā.eñ zindagī kā ujālā har ek sū
ban kar charāġh-e-shahr-e-mohabbat jale chaleñ
āvāz de sabā ki pukārā kare bahār
har rahguzar meñ phuul khilāte chale chaleñ
sāhil to mil hī jā.egā sāhil kī fikr kyā
ik mauj-e-zindagī ke sahāre bahe chaleñ
guzreñge rahravān-e-mohabbat abhī 'payām'
har raah meñ charāġh jalāte chale chaleñ
jada hai ishq zist safar hai chale chalen
jab tak mile na jalwa-e-manzil baDhe chalen
wo razm-gah-e-zist ho ya ku-e-yar ho
ab koi rahguzar bhi ho jhumte chalen
kya log the jo rah-e-junun se guzar gae
ji chahta hai naqsh-e-qadam chumte chalen
ek umr gham ki dhup mein chalna hai do-ghaDi
in gesuon ki chhanw mein bhi baiThte chalen
hoga kabhi na KHatm ye afsana-e-hayat
jab tak hain zindagi ka fasana kahe chalen
phailaen zindagi ka ujala har ek su
ban kar charagh-e-shahr-e-mohabbat jale chalen
aawaz de saba ki pukara kare bahaar
har rahguzar mein phul khilate chale chalen
sahil to mil hi jaega sahil ki fikr kya
ek mauj-e-zindagi ke sahaare bahe chalen
guzrenge rahrawan-e-mohabbat abhi 'payam'
har rah mein charagh jalate chale chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.