jadu se nikala hai na mantar se nikala
jaadū se nikālā hai na mantar se nikālā
ye ism-o-sifat lafz ke andar se nikālā
mehnat kī mujhe ḳhuub ye sauġhāt milī hai
ik gauhar-e-nāyāb samundar se nikālā
kam-zarf zamāne kī safāhat kā gilā kyā
muñh ham ne na phir qabr kī chādar se nikālā
ThanDā hī na kar deñ kahīñ mai-kash ko havā.eñ
garmī ko to phir shīsha-o-sāġhar se nikālā
sāzish koī le jaa.e na mujh ko kisī lamhe
rozī ke liye maiñ ne qadam ghar se nikālā
shāyad mirī tanhā.ī ko samjhā hai havā ne
ik giit nayā pattoñ kī sarsar se nikālā
ye soch ke saa.e meñ safar ḳhatm na ho jaa.e
sahrā kā patā dhuup ke andar se nikālā
itne bhī alam-nāk na the shaam ke saa.e
kis vahm kī ḳhātir ye junūñ sar se nikālā
jadu se nikala hai na mantar se nikala
ye ism-o-sifat lafz ke andar se nikala
mehnat ki mujhe KHub ye saughat mili hai
ek gauhar-e-nayab samundar se nikala
kam-zarf zamane ki safahat ka gila kya
munh hum ne na phir qabr ki chadar se nikala
ThanDa hi na kar den kahin mai-kash ko hawaen
garmi ko to phir shisha-o-saghar se nikala
sazish koi le jae na mujh ko kisi lamhe
rozi ke liye main ne qadam ghar se nikala
shayad meri tanhai ko samjha hai hawa ne
ek git naya patton ki sarsar se nikala
ye soch ke sae mein safar KHatm na ho jae
sahra ka pata dhup ke andar se nikala
itne bhi alam-nak na the sham ke sae
kis wahm ki KHatir ye junun sar se nikala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.