jadu tilism sehr fusun ToTka nahin
jaadū tilism sehr fusūñ ToTkā nahīñ
achchhe-bhale marīz kī koī davā nahīñ
fariyād iltimās pukār iltijā nahīñ
haq apnā chāhtā huuñ kisī aur kā nahīñ
matlab nahīñ murād nahīñ mudda.ā nahīñ
allāh re nasīb mire paas kyā nahīñ
barq-o-balā kī zarb se gir jā.egā nahīñ
faulād kā jigar hai mahal ret kā nahīñ
ek-ādh ke sivā ye kisī ne kahā nahīñ
koī kisī se kam nahīñ koī sivā nahīñ
maiñ ne sunā sunā ke kahā jab sunā nahīñ
ab sun sunā ke kahte haiñ kis ne kahā nahīñ
ik maiñ ki aa.ine kī tarah dekhtā rahūñ
ik tū ki aa.ine kī taraf dekhtā nahīñ
āñkheñ nahīñ pur-āb ki siina nahīñ kabāb
dajla nahīñ furāt nahīñ karbalā nahīñ
kab āsmān saaf nazar aa.e kyā ḳhabar
kab din phireñ nasīb khule kuchh patā nahīñ
in dostoñ meñ kis ne nichoḌā nahīñ lahū
in ajgaroñ meñ kis ne mujhe kab Dasā nahīñ
sab ek dūsre ko samajhte haiñ dūsrā
ye baat dūsrī hai koī dūsrā nahīñ
jal kar bhī nā-umīd nahīñ pur-umīd hai
nairangi-e-jahāñ se abhī dil bujhā nahīñ
jadu tilism sehr fusun ToTka nahin
achchhe-bhale mariz ki koi dawa nahin
fariyaad iltimas pukar iltija nahin
haq apna chahta hun kisi aur ka nahin
matlab nahin murad nahin muddaa nahin
allah re nasib mere pas kya nahin
barq-o-bala ki zarb se gir jaega nahin
faulad ka jigar hai mahal ret ka nahin
ek-adh ke siwa ye kisi ne kaha nahin
koi kisi se kam nahin koi siwa nahin
main ne suna suna ke kaha jab suna nahin
ab sun suna ke kahte hain kis ne kaha nahin
ek main ki aaine ki tarah dekhta rahun
ek tu ki aaine ki taraf dekhta nahin
aankhen nahin pur-ab ki sina nahin kabab
dajla nahin furaat nahin karbala nahin
kab aasman saf nazar aae kya KHabar
kab din phiren nasib khule kuchh pata nahin
in doston mein kis ne nichoDa nahin lahu
in ajgaron mein kis ne mujhe kab Dasa nahin
sab ek dusre ko samajhte hain dusra
ye baat dusri hai koi dusra nahin
jal kar bhi na-umid nahin pur-umid hai
nairangi-e-jahan se abhi dil bujha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.