jag jaane par na jaane kyun dobara so gaya
jag jaane par na jaane kyun dobara so gaya
Shabana zaidi shabeen
MORE BYShabana zaidi shabeen
jaag jaane par na jaane kyuuñ dobāra so gayā
bādaloñ ke darmiyāñ raushan saverā ho gayā
beach dariyā meñ ghirī kashtī par nishāñ sab ke sab
dhuñd kī chādar koī oḌhe kināra kho gayā
thak thakā kar ruk gayā pur-josh raahī kā safar
dhuup ke saa.e meñ jis dam garm sahrā ho gayā
ḳhush-gavarī bādbānoñ se ayaañ hone lagī
sāhiloñ par jā ke jab dariyā kā dariyā so gayā
qahqahoñ ko rok kar dekhe 'shabīna' lamha-bhar
ġham kī chaukhaT par koī ādhā-adhūrā ho gayā
jag jaane par na jaane kyun dobara so gaya
baadalon ke darmiyan raushan sawera ho gaya
beach dariya mein ghiri kashti par nishan sab ke sab
dhund ki chadar koi oDhe kinara kho gaya
thak thaka kar ruk gaya pur-josh rahi ka safar
dhup ke sae mein jis dam garm sahra ho gaya
KHush-gawari baadbanon se ayan hone lagi
sahilon par ja ke jab dariya ka dariya so gaya
qahqahon ko rok kar dekhe 'shabina' lamha-bhar
gham ki chaukhaT par koi aadha-adhura ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.