jag uTha jab bhi shuur-e-zat bistar chhoD ke
jag uTha jab bhi shuur-e-zat bistar chhoD ke
Mohammad Ali Mauj Rampuri
MORE BYMohammad Ali Mauj Rampuri
jaag uThā jab bhī shu.ūr-e-zāt bistar chhoḌ ke
ḳhud alag ho jā.eñge qatre samundar chhoḌ ke
TūTne tak jism se be-rabt sāñsoñ kā tilism
merī tanhā.ī kahāñ jaa.e mirā ghar chhoḌ ke
ek hī markaz pe lauT aate haiñ saare rāste
ham kidhar jaa.eñ tirā kūcha tirā dar chhoḌ ke
mausamoñ kī gard bhī jin ko na dhuñdlā kar sakī
aks vo dil par gayā hai ā.īna-gar chhoḌ ke
pai-ba-pai har ek chaal ulTī hī vo chaltā rahā
shah kahī ham ne use phir bhī ka.ī ghar chhoḌ ke
ishq ko tahrīk baḳhshe phir adā-e-sādgī
phir koī mehrunnisā dekhe kabūtar chhoḌ ke
har taraf ai 'mauj' āñgan meñ dar-o-dīvār se
dhuup utar aa.ī to ham uTThe haiñ bistar chhoḌ ke
jag uTha jab bhi shuur-e-zat bistar chhoD ke
KHud alag ho jaenge qatre samundar chhoD ke
TuTne tak jism se be-rabt sanson ka tilism
meri tanhai kahan jae mera ghar chhoD ke
ek hi markaz pe lauT aate hain sare raste
hum kidhar jaen tera kucha tera dar chhoD ke
mausamon ki gard bhi jin ko na dhundla kar saki
aks wo dil par gaya hai aaina-gar chhoD ke
pai-ba-pai har ek chaal ulTi hi wo chalta raha
shah kahi hum ne use phir bhi kai ghar chhoD ke
ishq ko tahrik baKHshe phir ada-e-sadgi
phir koi mehrunnisa dekhe kabutar chhoD ke
har taraf ai 'mauj' aangan mein dar-o-diwar se
dhup utar aai to hum uTThe hain bistar chhoD ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.