jag uThe baam-o-dar charagh jale
jaag uThe bām-o-dar charāġh jale
kaun aaya idhar charāġh jale
din kī pāmāl fikr ko hai shart
terī jānib safar charāġh jale
zulf-e-tūfāñ se yuuñ bhī chheḌ sahī
vo bujhā.e idhar charāġh jale
din meñ vo jism hai junūñ-afroz
ik qayāmat magar charāġh jale
vā.iz-o-mohtasib bhī jām-ba-lab
ham ko aa.e nazar charāġh jale
āḳhir-e-shab diloñ pe hai bhārī
ham-nafas tā sahar charāġh jale
sarguzasht-e-vafā hai tūlānī
bas yahī muḳhtasar charāġh jale
aaj mehmāñ hai ek shab-afroz
ārzūoñ kā har charāġh jale
zindagī shab-charāġh hai 'saifī'
ab raqīboñ ke ghar charāġh jale
jag uThe baam-o-dar charagh jale
kaun aaya idhar charagh jale
din ki pamal fikr ko hai shart
teri jaanib safar charagh jale
zulf-e-tufan se yun bhi chheD sahi
wo bujhae idhar charagh jale
din mein wo jism hai junun-afroz
ek qayamat magar charagh jale
waiz-o-mohtasib bhi jam-ba-lab
hum ko aae nazar charagh jale
aaKHir-e-shab dilon pe hai bhaari
ham-nafas ta sahar charagh jale
sarguzasht-e-wafa hai tulani
bas yahi muKHtasar charagh jale
aaj mehman hai ek shab-afroz
aarzuon ka har charagh jale
zindagi shab-charagh hai 'saifi'
ab raqibon ke ghar charagh jale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.