jage jo KHwab-e-gham se phir nind hi na aai
jaage jo ḳhvāb-e-ġham se phir niiñd hī na aa.ī
dahshat ke zer-o-bam se phir niiñd hī na aa.ī
mālūm hī nahīñ kuchh ham kaise so ga.e the
Dar kar ruḳh-e-sitam se phir niiñd hī na aa.ī
tāroñ se rābte kuchh qaa.em rahe hama-shab
is shaġhl-e-muġhtanam se phir niiñd hī na aa.ī
gūñjī sukūt-e-shab meñ āvāz jaane kis kī
ham ko to ḳhauf-e-ġham se phir niiñd hī na aa.ī
aa.ī jo yaad 'az.har' shab ko jafā-e-yārāñ
chashm-e-vafā ke nam se phir niiñd hī na aa.ī
jage jo KHwab-e-gham se phir nind hi na aai
dahshat ke zer-o-bam se phir nind hi na aai
malum hi nahin kuchh hum kaise so gae the
Dar kar ruKH-e-sitam se phir nind hi na aai
taron se rabte kuchh qaem rahe hama-shab
is shaghl-e-mughtanam se phir nind hi na aai
gunji sukut-e-shab mein aawaz jaane kis ki
hum ko to KHauf-e-gham se phir nind hi na aai
aai jo yaad 'azhar' shab ko jafa-e-yaran
chashm-e-wafa ke nam se phir nind hi na aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.